Life Shayari in English : नमस्कार दोस्तो, हमेशा की तरह आज फिर से एक नए पोस्ट Life Shayari in English के साथ हाजिर है। हम उम्मीद करते है की ये पोस्ट आपको पसंद आएगी और आप इसे आप अपने दोस्तो के साथ जरूर शेयर करेंगे।
Jis par vishwas karna chahiye, us par poora karna chahiye,
Parinaam jo ho jise maanna chahiye, ant tak maanna chahiye.
Apni energy ko chinta karne mein khatam karne se behtar hai,
Ki iska upyog samadhan dhoondhne mein kiya jaaye.
Vichar humare dimaag ke liye energy ka ekmatra srot hain,
Sochne aur kalpana karne ki koshish karein sakaratmak soche aur tarango ko phailayein.
Zindagi jeena hai to takleef to hogi hi,
Varna marne ke baad to jalne tak ka bhi ehsaas nahi hota.
Naakaam chahe tu ho jaaye kitna,
Na-ummid kabhi na hona re bande.
Tujhe raasta koi dikha dega Maula,
Bigdi teri sab bana dega Maula.
Samarthan aur virodh vicharon ka hona chahiye,
Vyakti ka nahi matbhed ko kabhi manbhed nahi banne chahiye.
Budhape mein roti aapke bete nahi, aapke sanskar khilayenge.
Aapke apne aapko vo kaam karne ke liye prerit kar sakte hain,
Jo vo khud nahi karna chahte hain.
Kisi se moh khatm hote hi khone ka dar bhi nikal jaata hai,
Chahe daulat ho, vastu ho, prem ho, phir chahe rishta ho, ya zindagi.
Sad Life Shayari in English
Aapke apne aapko vo kaam karne ke liye prerit kar sakte hain,
Jo vo khud nahi karna chahte hain.
Man mein vishwas rakhkar koi haar nahi sakta aur
Man mein shanka rakhkar koi jeet nahi sakta.”
Har insaan mein koi na koi pratibha hai,
Lekin vo aksar ise doosro ke jaisa banne mein nasht kar dete hain.
Aapke karm hi aapki pehchaan hai,
Varna ek naam ke hazaaron insaan hain.
Jab upar waale ki marzi hoti hai,
Tab logic nahi sirf magic hoti hai.
Khareed pau khushiyan udas chehron ke liye,
Mere kirdaar ka mol itna kar de Khuda.
Lakshya ke bina jeevan bina pata likhe lifafe ki tarah hai,
Jo kisi mukaam par nahi pahunchta!
Kisi ki burai talash karne wale insaan ki misaal us makhi ki tarah hai,
Jo saare khoobsurat jism ko chhodkar keval zakham par hi baithti hai.
Thos majboot bharosa apne sapnon pe karna,
Jitne munh utni baatein gaur kitno pe karna.
Yeh mahatvapooran nahi hai ki anya log aapke baare mein kya vishwaas karte hain,
Mahatvapooran yeh hai ki aap apne baare mein kya vishwaas karte hain.
Life Shayari in English
Jab tak hamare khud ke andar apne sudhar ka vichar nahi aayega,
Tab tak hamein koi bhi samjha nahi sakta.
Thos majboot bharosa apne sapnon pe karna,
Jitne munh utni baatein gaur kitno pe karna.
Rab ne sabko khubsoorat banaya hai,
Kisiko acchi soorat dekar to
Kisiko accha dil dekar!!
Vichar humare dimaag ke liye energy ka ekmatra srot hain,
Sochne aur kalpana karne ki koshish karein sakaratmak soche aur tarango ko phailayein.
Jab man kharab ho tab bure shabd na bole,
Kyunki kharab man ko badalne ke mauke bahut mil jayenge,
Lekin shabdon ko badalne ke mauke phir nahi milenge.”
Achhe ke saath achhe rahe lekin bure ke saath bure nahi,
Kyunki paani se khoon saaf kar sakte hain lekin khoon se khoon nahi.
Main dheere-dheere seekh raha hoon ki mujhe har us baat par pratikriya nahi deni chahiye,
Jo mujhe chintit karti hai.
Tumhari shakhsiyat se sabak legi ye nayi naslen,
Manzil par vahi pahuncha hai, jo apne paon chalata hai.
Mita deta hai koi naam tak ki khandaano ka,
Kisi ke naam se mashhoor hokar gaon chalata hai.
Bahar ka rang-roop antarman ke haal ko nahi dikhata hai,
Mor ko dekhkar kaun keh sakta hai ki woh saanp khata hai.
Manushya ka jeevan geeli mitti ki tarah hai aur uske vichar ek saanche ki tarah,
Jaise vicharon mein voh dooba rehta hai usi saanche mein jeevan dhal jaata hai.
Life Shayari in English for Boy
Aapki bhavna hi aapke vicharon aur shabdon ko shakti deti hai,
Isliye aapki bhavna hi sabse mahatvapurn cheez hai.
Duniya mein safal hone ka sabse accha tarika hai,
Us salah par kaam karna jo aap doosron ko dete hain.
Kisi din jab aapke saamne koi samasya na aaye,
Toh aap sunishchit ho sakte hain ki aap galat marg par chal rahe hain.
Hum vo sab kar sakte hain jo hum soch sakte hain aur hum vo sab soch sakte hain jo aaj tak humne nahi socha.
Khoobi aur khami dono hi hoti hai har insaan mein.
Jo tarashta hai use khoobi nazar aati hai,
Aur jo talashta hai use khami nazar aati hai.
Ek hi maata ke pet se aur ek hi nakshatra mein janm lene wali santan,
Samaan gun aur sheel wali nahi hoti, jaise ber ke kaante.
Dusro ki chhaya mein khade hokar hum apni “parchhai” kho dete hain,
Apni “parchhai” banane ke liye hume khud dhoop mein khada hona padega
Life Shayari in English 2 Lines
Kuch baatein zaroor yaad rakhein.
Akeli rehne se na darein.
Pichli baaton ko yaad na karein.
Saari duniya ki jimmedari aap par nahi hai, yeh samjhein.
Parinamoon ke jaldi aane ki ummeed na karein.
Sabko khush rakhne ki koshish na karein.
Khud ko bechara na samjhein.
Un cheezon par waqt zaya na karein, jo aapke niyantran mein nahi hai.
Doosron ko apni bhavnaon ke saath khilwaad na karne dein.
Doosre logon ki safalta par jaln ka anubhav na karein.
Jimmedariyon se na bhaagein.
Ek baar koshish mein asafalta milne par pryas karna na chhodein.
Hamesha nape-tule jokhim uthaane ki koshish karein.
Apne sapnon ka peecha karein na ki logon ka.
Aap jitna sochte hain, aap usse kahin zyada kaabil hain.
Jab tak koi kaam ho nahi jaata, vah asambhav hi lagta hai.
Jis cheez ki keemat hoti hai, vah aasani se haasil nahi hoti.
Aap ki ekmaatra seema aap khud hi hain.
Kisi cheez ka intezaar na karein, kyun ki jeevan ki gati bahut tez hai.
Heart Touching Shayari on Life in English
Log jab poochte hain ki aap kya kaam karte hain,
To asal mein vo hisaab lagate hain ki aapko kitni izzat deni hai.
Jab aapko yeh ahsaas ho jata hai ki koi bhi bahari cheez,
Aapki mansik sahmati ke bina aapko chot nahi pahuncha sakti ya vichlit nahi kar sakti.
Bandhan hamesha dukh deta hai aur sambandh hamesha sukh deta hai,
Hamara aap se aur aapka ham se sambandh hai koi bandhan nahi hai.
Galat vicharon ko rokne wala ek vishesh geet.
Soch ka prabhav man par hota hai,
Man ka prabhav tan par hota hai.
Tan aur man dono ka prabhav saare jeevan par hota hai,
Isliye sada accha soche aur khush rahein.
Haar aur jeet hamari soch par nirbhar hai,
Maan liya to haar hai, than liya to jeet hai.
Lakshya unhi ko milta hai,
Jinka lakshya vikalp rahit sankalp hai.
Manzil ko keh do abhi pahuncha nahi hoon main,
Raaste mein hoon thak kar soya nahi hoon main.
Thodi der zaroor hai, par abhi haar kar ruka nahi hoon main.
Sabse bada dushman bhi utna nuksan nahi pahuncha sakta hai,
Jitna ki nakaratmak vichar nuksan pahuncha sakte hain.
Life Shayari in English Short
Hum saahas chun sakte hain ya hum aaram chun sakte hain,
Lekin hamare paas dono nahi ho sakte.
Aap keval karma ke hakdaar hain uske phal ke kabhi nahi.
Agar aap duniya ke liye kuch achha karoge,
To samay ke saath saath duniya se bhi aapko kuch achha milega.
Bhootkal vartaman ko nahi badal sakta hai,
Parantu vartaman ke kram bhavishya ko avashya badal sakta hai.
Paramatma kabhi bhagya nahi likhte hain,
Jeevan ke har kadam par hamari soch,
Hamara vyavahar evam hamare karm hi hamara bhagya likhte hain.
Mitti ka matka aur parivaar ki keemat sirf banane vaale ko hi pata hoti hai todne vaale ko nahi.
Apne hausle ko ye mat batao ki tumhari pareshani kitni badi hai,
Apni pareshani ko ye batao ki tumhara hausla kitna bada hai.
Beete hue kal ke baare mein soch kar hamesha dukh hi milega,
Agar apne bhavishya ke baare mein sochoge to aane waale samay mein zaroor sukh milega.
Khud ko safal dekhna hai to aaj se khud ko safal maanna shuru karo,
Kyun ki safalta ki chhapa pehle hamare dimaag mein banti hai phir sachai ban ke samne aati hai.
Manushya ke dimaag mein do ghode dodte hain, ek negative aur doosra positive,
Jiski jyada khurak di jaaye vo hamesha jeetega.
English Shayari on Life Love
Pita ke dwara data gaya putra, guru ke dwara data gaya shishya,
Aur sunar ke dwara peeta gaya sona,
Ye hamesha abhushan hi bante hain.
Jab galat password se ek chhota sa mobile nahi khulta,
To galat kaam se jannat ke darwaje kaise khulenge?
Mahatva sada hi apne aap ko zyada dena,
Kyun ki agar doosron ko doge to aatma samman kho doge.
Agar aap sahi ho to kuch bhi sabit karne ki koshish mat karo,
Bas sahi bane raho, gawahi waqt khud de dega.
Jindagi mein kabhi bhi kisi ko kam mat samjho,
Poora duniya ko dubone ki taakat rakhne waala samundar,
Tel ki ek boond ko nahi dooba sakta.
Jab aap apni kamzoriyon ko pahchano shuru karenge,
Tab aapka dimaag poora tarah se sakaratmak ho jaayega.
Jo samay ka sahi laabh nahi uthaate,
Wahi log sada samay ki kami ka rona rote hain.
Khud ke dam par ek alag pehchaan banao,
Doosron ke bataye raaste par aap doosre number par hi rahoge,
Kabhi pehle number par nahi aa paoge.
Aksar log mauke ki talash ke karan nahi,
Balki apne aatmavishwas ki kami ke karan asafal hote hain.
Sapne dekhne ka shauk hai to raat bhar padhna shuru karo,
Kyun ki sapne tabhi poore honge jab neend adhoori hogi.
Har do minute ki shohrat ke peeche kayi ghanton ki kadi mehnat hoti hai.
Vriksh mein pratidin paani dena hota hai lekin phal mausam anusaar hi aate hain,
Isliye jeevan mein dhairya rakhein kyun ki har kaam samay par hi hota hai.
आज की ये पोस्ट Life Shayari in English आपको कैसी लगी ये आप कमेन्ट करके जरूर बताइएगा। हम आगे भी ऐसे ही मजेदार पोस्ट आपके लिए लेकर आते रहेंगे।
यह भी पढे: